Friday, April 9, 2021
Tera chup rehna mere zehen ma kya beth gya | Tehzeeb Hafi
Thursday, April 8, 2021
Ramdan Mubarak Status | Ramzan ki Shayari in Urdu
Ramdan Mubarak Status
Thursday, April 1, 2021
Main jab bhi tark e taluq ki baat karta tha - Mohsin Naqvi
Main jab bhi tark e taluq ki baat karta tha
Friday, March 19, 2021
Zindagi say yahi gila hai mujhe | Ahmad Faraz Shayari
Zindagi say yahi gila hai mujhe
Thursday, March 18, 2021
Sitaron sa Aage jahaan aur bhi hain | Allam Iqbal Poetry
Sitaron sa Aage jahaan aur bhi hain
Wednesday, March 17, 2021
Kitne Aish se Rehte Hongy l Jaun Elia Poetry
Kitne Aish se Rehte Hongy
Kitne aish se rehte hongy kitne itrate hongy
Jaane kaise log wo hongy jo us ko bhate hongy
shaam hue khush-bash yehan k mere paas aa jaate hain
Mere bujhne ka nazzara karne aa jaate hongy
Wo jo na ane vala hai na use humko matalb tha
Aane walon se kia maltab ate hain ate hongy
Uski yaad ki bad e saba mein aur to kia hota hoga
Yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jaate hongy
Yaaro kuch to zikr karo tum uski qayamat banhon ka
Wo jo simatte hongy us mein wo to mar jaate hongy
Mera saans ukharte hi sub bain karen gyn royen gya
Yani mere baad bhi yani saans liya jaate hongy
Jaun Elia
Wednesday, March 3, 2021
Soo rahenge ke jaagte rahenge | Tehzeeb Hafi
Soo rahenge ke jaagte rahenge
Soo rahenge ke jaagte rahenge
Hum tere khwab dekhte rahenge
Tu kahi aur he dhundta rahega
Hum kahi aur he khalle rahenge
Rahgiron ne raah badalni hai
Ped apni jagah khade rahenge
Lautna kh hai tune pr tujhko
Aadatan hee pukaarte rahenge
Barf pighle gey aur paharo ma
Salha saal raste rahenge
Tujh ko chone k baad ka kya hoga
Dair tak hath kanpte rahenge
Sabhi mausam hai dastaras me teri
Tune chaha to hum hare rahenge
Ek muddat hui hai tujhse mile
Tu too kahta tha raabte rahenge
Tujhko paane me masa la ye hai
Tujhko khone ke was wase rahenge
Tuesday, March 2, 2021
Ghalat niklay sab andazay hamaray | Tehzeeb Hafi
Ghalat niklay sab andazay hamara
Ghalat niklay sab andazay hamaray
keh din aay nahi achay hamaray
Safar se baaz rehnay ko kaha hai
Kisi ne khol kar tasmay hamaray
Har ik mosam boht andar tak aya
Khule rehtay thay darwazay hamare
Agr ham par yakeen ata nahi tu
Kaheen lagwa lo angothay hamray
Basharat di hai azadi ki us ne
Hawa me phenk kar pinjray hamaray
Us abr e mehrban se kia shikayat
Agar bartan nahi bhartay hamaray
Maheenay baad beti se mila hon
Hamen le de gay jhagray hamaray
Poet : Tehzeeb Hafi